Send As SMS

Wednesday, September 06, 2006

Blah...blech...burp...BLURB !! *barf*

Pyari Bloggity Blurb !

Assalamualaikum !

Umeed hai aap khairait say hongee. Main bilkul theek hoon. Babloo aur Babli kaisay hain? Babloo ko kahain kay main nay uss kay liyay bahot bara lattoo liya hai, jis ka naam hai bayblade. Ajeeb shauq hai bachon kay, abb aap batayen.. lattoo ek lattoo hota hai chahay kuch bhee usay kahain, hain na ?? !! Babli kay aaj kal kya mashaghil hain ?
Uss nay woh gaana sunna , Sexy back ? Bahot hee sheshky hai !

Khair, bahot dair ho gayee hai kay main nay aap ko khat nahee likha. Main in garmion kee chuttiyon main bahot masroof thee. Karachi gayee hui thee. Kaam kay saath saath bahot shughal bhee kiay hamesha kee tarhan say ! :) Saaray Aiesecers Lahore say aye huay thay JNC kay liyay , jo kay ek bahot achi aur kamyaab conference rahi ! @ Pakistan kay conferences abb behtar say behtar hotay jarrahay hain ! Aur OC nay toh kamaal kar diya...khaana laajawaab tha ! Pichlee conferences say bhee behtar ! Agar aap tasweerain dekhna chahtee hain toh @ Karachi kee blog par hain:)

Jis tezi say @ Pakistan aagay barh raha hai, woh din duur naheen hai jub InshAllah, Pakistan main IPM 2010 ka ihtimam ho ga ! :)

Karachi walon kay saath bhee bahot mazay kiyay. Is dafa, main nay pehli baar Karachi main baarish dekhi hai !! Mujhay toh bahot acha lag raha tha kay barsaat abb is shehr main bhee pahoncha hai ! Bus masla yeh hogaya tha kay shehr is kisam ke barishon kay liyay tayyar nahee hai. Internship bhee kee, jo kay bahot achee rahee. Client nay plan manzoor kardiya ! :D Aur kya chahiye tha !!

Mera khat abb apnay ikhtatam par pahonch chuka hai. Main aap kay khat ka intezaar karoon gee. Babloo aur Babli ko mera pyaar dain aur Chachajaan ko mera salaam !
InshAllah, hum phir bahot jald milain gain :)

App ke faqat,

Gulabo

1 Comments:

At September 12, 2006 9:06 PM, Anonymous said...

Can you also write an English version of this letter so i can improve my Urdu :)pppppllllleeeaaassseeeee THANKS ;)
delia

 

Post a Comment

<< Home

Geo-location by 123Stat site hit counter - Map by Green-Acres (Luberon houses) : Loading Map ...